Monday, December 20, 2010

Attaullah Khan Essakhilvi - Sab Maya Hai



sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
sab maya hai

maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai
("Quais" in the first line above was Majnoo's name. "Farhad," another famous lover of the Sheerin-Farhad fame undertook the task of digging a "nehar" (irrigation channel) through a mountain to prove his love. "Insha" is the author of this poem.)


woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aj uss nay bhi pay'ghaam (message) yeehi bhijwaya hai
saab maya hai

jo loug abhi tuk naam wafa (love, fidelity) ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai

jab daikh liya har shakhas (person) yahaan harjayee (unloving/deceitful) hai
iss shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai

1 comment:

  1. Sab Maya Hai Meaning shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai
    aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
    sab maaya hai

    ReplyDelete